nazar sameten bator kar intizar rakh den jo us pe tha ab talak hamein e'tibar rakh den bas ek khwahish madar thi apni zindagi ka kisi ke hathon mein apna dar-o-madar rakh den tujhe jakad le kabhi saliqa yahi nahin hai hai ji mein sab noch kar nigahon ke tar rakh den badi hi narmi se us ki aankhen musir hui thin hum us ke daman mein apna sara ghubar rakh den kabhi meri zid jo kar le mujh hi ko le ke dam le phir us ke aage zamane bhar ko hazar rakh den