zamin ko khinch ke main su-e-asman le jaun ye dil ka dard hai is dard ko kahan le jaun ye dil ajib si ek kashmakash se hai do-chaar natija ek sa hoga ise jahan le jaun yahan to gul bhi samate nahin in aankhon mein bata kahan main ye chehra dhuan dhuan le jaun likha to hai meri be-khwab si in aankhon mein main apne-ap ko duniya se raegan le jaun yahan tak aa ke palatna bhi mere bas mein nahin main kis thikane 'rawish' ab ye jism o jaan le jaun