abhi apne martaba-e-husn se miyan ba-khabar tu hua nahin ki ghazal-sara tere bagh mein koi murgh-e-taza-nawa nahin jo gali mein yar ki jaun hun to ajal kahe hai ye rahm kha tu sitam-rasida na ja udhar koi zinda wan se phira nahin wo gharib-o-be-kas-o-zar tha tujhe us ka deta hun main pata tere kushta ka wo mazar tha ki charagh jis mein jala nahin jo hakim pas main jaun hun to wo dosti se sunae hai tu maash ki bhi talash kar ye maqam-e-faqr-o-fana nahin mujhe ishq rakhta hai sar-nigun mera jal puchho na kya kahun main habab-e-bahr ka shisha hun mere tutne ki sada nahin tere khaksaron ne apna sar nahin pita dasht mein is qadar ki bagula wan se ghubar ka taraf aasman ke gaya nahin na nasim-e-bagh-o-bahaar hun na fida-e-ru-e-nigar hun main gharib-e-shahr-o-dayar hun meri dair o kaba mein ja nahin tere nakhl-e-husn ki konplen abhi na-shagufta hain ai pari jo nasim aai hai us ne bhi inhen kuchh samajh ke chhua nahin tere gesuon mein jo jati hai to mera hi haal kah aati hai meri khasm-e-jaan bhi to is qadar ye nasim-e-nafa-kusha nahin na main rahne wala hun bagh ka na safir-sanj hun rag ka mujhe dhunde hai so wo kis jagah kahin aashiyan-e-huma nahin koi zakhm-khurda hai khar ka koi khun-tapida bahaar ka hai mera hi hausla 'mushafi' ki kisi se mujh ko gila nahin