zamin mein ya darun-e-asman hun mujhe dhundo to aakhir main kahan hun andhere to nigal jaen mujhe bhi main lakhon jugnuon ke darmiyan hun meri yakh-bastagi ek maslahat hai main shoala shoala hun aatish-fishan hun hai ek viran jazira mera maskan main apne raaz ka khud raazdan hun meri takhliq-karda kuchh fasilen jawanib mein hain aur main darmiyan hun main khud hi apni kashti apna dariya main khud hi nakhuda hun baadban hun main apni dhun mein ek jharne ke jaisa main apni rau mein ek mauj-e-rawan hun hai mere hath mein tegh-e-muqaddar hisar-e-kusht-o-khun ke darmiyan hun abhi tak main ghubar-e-karwan tha magar ab main amir-e-karwan hun mere atraf mein mashkuk hain sab akela mo'atabar main hi yahan hun main khud hi lashkar-e-jarrar apna main khud apna alam apna nishan hun