zamin meri rahegi na aaina mera ki aazmane chala hai mujhe khuda mera mere tilism se aazad bhi nahin lekin wo phul pahli nazar mein hua na tha mera naim basra-o-baghdad haarne ke baad mera wajud bhi shayad nahin raha mera wo mere pas rahe ya kahin chala jae rahega us ke khayalon se silsila mera kisi ki khoj mein nikla tha be-irada main badan nidhaal tha sar ghumta hua mera nahin hai ab mujhe anjam ki koi parwa badha diya hai mohabbat ne hausla mera hua hai qata masafat ka silsila jari main ruk gaya to badan tutne laga mera yaqin nahin hai magar naqsh hai mere dil par ki ek pari ne banaya hai zaicha mera wo bar bar palatta hai dur ja-ja kar so tut tut ke judta hai rabta mera nazar ki had pe jo ek najm-e-khwab hai 'sajid' wahi charagh hai us ka wahi diya mera