talash kar na zamin aasman se bahar nahin hai rah koi is makan se bahar bas ek do hi qadam aur the safar wale thakan dekh na pai thakan se bahar nisab darja-ba-darja yun hi badalta hai hua na koi bhi is imtihan se bahar usi ki justuju aksar udas karti hai wo ek jahan jo hai har jahan se bahar namaziyon se kaho dekhen chand-suraj ko nikal rahe hain muazzin azan se bahar