zamin par hi rahe aasman ke hote hue

zamin par hi rahe aasman ke hote hue
kahin na ghar se gae karwan ke hote hue

main kis ka nam na lun aur nam lun kis ka
hazaron phul khile the khizan ke hote hue

badan ki jaise hawaon ki zad mein koi charagh
ye apna haal tha ek mehrban ke hote hue

hamein khabar hai koi ham-safar na tha phir bhi
yaqin ki manzilen tai kin guman ke hote hue

wo be-niyaz hain hum mustaqil kahin na ruke
kisi ke naqsh-e-qadam aastan ke hote hue

har ek rakht-e-safar ko uthae phirta tha
koi makin na kahin tha makan ke hote hue

ye saneha bhi mere aansuon pe guzra hai
nigah bolti thi tarjuman ke hote hue

hidayaton ka hai mohtaj nama-bar ki tarah
faqih-e-shahr tilism-e-bayan ke hote hue

ajib nur se rishta tha nur ka akhtar
kai charagh jale kahkashan ke hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close