zamin pe aane se sanson ke ruth jaane tak ye ek safar hai musalsal qaza ke shane tak jo kaenat pe haq apna man baithe the unhen bhi aana pada aakhiri thikane tak zamin pe dil ki mohabbat jawan hoti rahi wafa ki dhup pe baadal jafa ke chhane tak phir us ke baad hua kya mujhe nahin malum main hosh mein rahi but ko khuda banane tak suna hai aap inayat sabhi pe karte hain kabhi to aaen hamare gharib-khane tak nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki rahega sath koi sirf aazmane tak