aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baithe hum shama san apne tain aap hi ro baithe hum ishq ke hath se kashti-e-shikasta ki tarah aap apne tain ro ro ke dubo baithe hum gar yahi tere ishaare hain to majlis se teri kui na kui aa ke utha dewega go baithe hum tum jo uthne ko hue the to chale the hum bhi ab jo yun aap ki marzi hai to lo baithe hum sina khali nahin hota hai na thamte hain ashk kab se rote hain dil-e-khun-shuda ko baithe hum ghair kahte hain ki hum baithne dewenge na yan ab to is zid se jo kuchh howe so ho baithe hum ashk aaankhon se to madum hue the kad ke hath ab girya-e-khuni se bhi dho baithe hum aur to kuchh nahin yan itna khafa hote ho kyun kya hua aap ke nazdik jo ho baithe hum aarzu dil ki bar aai na 'hasan' wasl mein aur lazzat-e-hijr ko bhi muft mein kho baithe hum