zamin pe insan khuda bana tha waba se pahle wo khud ko sab kuchh samajh raha tha waba se pahle palak jhapakte hi sara manzar badal gaya hai yahan to mela laga hua tha waba se pahle tum aaj hathon se duriyan napte ho socho dilon mein kis darja fasla tha waba se pahle ajib si daud mein sab aise lage hue the makan makinon ko dhundhta tha waba se pahle hum aaj khalwat mein is zamane ko ro rahe hain wo jis se sab ko bahut gila tha waba se pahle na jaane kyon aa gaya dua mein meri wo bachcha sadak pe jo phul bechta tha waba se pahle dua ko utthe hain hath 'amabar' to dhyan aaya ye aasman surkh ho chuka tha waba se pahle