gar kahun matlab tumhaara khul gaya kahte hain achchha hua kya khul gaya ghair ki qismat ki khani hai qasam band tha darwaza un ka khul gaya tum khule-bandon milo aghyar se shukr panw ab tumhaara khul gaya aa gai be-parda wo surat nazar aankh ki jab band parda khul gaya ghair se ab band ho kis baat par galiyon par munh tumhaara khul gaya khul gaya haal is dil-e-betab ka munh dupatte se jo un ka khul gaya hon ishaare ghair se aur dekhun main bait-e-abru ka bhi mana khul gaya nama-bar! tere chhupane se mujhe apni qismat ka nawishta khul gaya dil ki be-tabi ne ruswa kar diya hae sab par raaz apna khul gaya nama-bar! gar ghair ne dekha nahin kaise phir khat ka lifafa khul gaya qudrat-e-haq se badhi ishrat ki shab shab jo us kafir ka juda khul gaya dekhiye kya dil se dil ko rah hai raaz jo tum ne chhupaya khul gaya jo na kahna tha kaha sab kuchh 'nizam' raaz baaton mein wo aisa khul gaya