zamin pe rah ke dimagh aasman se milta hai

zamin pe rah ke dimagh aasman se milta hai
kabhi ye sar jo tere aastan se milta hai

isi zamin se isi aasman se milta hai
ye kaun deta hai aakhir kahan se milta hai

suna hai lut liya hai kisi ko rahbar ne
ye waqia to meri dastan se milta hai

dar-e-habib bhi hai but-kada bhi kaba bhi
ye dekhna hai sakun ab kahan se milta hai

talab na ho to kisi dar se kuchh nahin milta
agar talab ho to donon jahan se milta hai

wahin chalo wahin ab hum bhi hath phailaen
'shamim' sare jahan ko jahan se milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close