zamin raund chuke aasman baqi hai

zamin raund chuke aasman baqi hai
abhi kahin na kahin ye jahan baqi hai

ye daur paise ka hai kuchh pata nahin chalta
ki kaun bik gaya kis ki zaban baqi hai

karen wo lakh jatan phir bhi kuchh nahin hoga
abhi zamin pe us ka makan baqi hai

hamein mita do magar haq to chhup nahin sakta
gala kata hai abhi to zaban baqi hai

ye kah ke chhod diya kyon qalam 'muzammil' ne
abhi to aur bhi ek imtihan baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close