zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha ki chashm-e-khak mein ek khwab sa hamara bhi tha tu apne ghar ki taraf mod le gaya hai jise zamin se puchh ki ye rasta hamara bhi tha ye sab charagh jalae hue hamare bhi hain bala-e-shab ka kabhi samna hamara bhi tha hamare panw bhi padte na the zamin pe kabhi kabhi kahin yahi takht-e-hawa hamara bhi tha ye hain jo bagh mein bos-o-kanar ke manzar gae dinon mein yahi mashghala hamara bhi tha kisi ki zulf mein dekha to hum ko yaad aaya ki ek phul usi rang ka hamara bhi tha yahi sharab kabhi hum bhi khub pite the usi nashe mein sar udta hua hamara bhi tha zamin hilti thi yun hi hamare aane se bhi isi tarah ka kabhi zalzala hamara bhi tha jo ab tumhaare tasarruf mein hai miyan-'ehsas' kabhi ye arsa-e-arz-o-saman hamara bhi tha