na lazzaten hain wo hansne mein aur na rone mein jo kuchh maza hai tere sath mil ke sone mein palang pe sej bichhata hun muddaton se jaan kabhi tu aan ke so ja mere bichhaune mein masak gai hai wo angiya jo tang bandhne se to kya bahaar hai kafir ke chaak hone mein kaha main us se ki ek baat mujh ko kahni hai kahun main jab ki chalo mere sath kone mein ye baat sunte hi ji mein samajh gai kafir ki tera dil hai kuchh ab aur baat hone mein ye sun ke boli ki hai hai ye kya kaha tu ne pada hai kyun mujhe duniya se ab tu khone mein to budha marduwa aur barahwan baras mujh ko main kis tarah se chalun tere sath kone mein 'nazir' ek wo ayyar surti hai kafir kabhi na aawegi wo tere jadu-tone mein