zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin ki hum yahin se hain jo kuchh bhi hain wahan se nahin bas ek saya sa phirta hai dil mein aawara hamare gham ka koi silsila fughan se nahin sawal-e-shola-e-nok-e-zaban hai kya kahiye kahan se aae hain hum log aur kahan se nahin rawish mein charkh tapish mein zamin dihish mein sahab ye musht-e-khak kisi tera khak-dan se nahin hunar hai masti-e-jaan raunaq-e-dukan kyun ho ayar-e-masti-e-jaan raunaq-e-dukan se nahin mera nasab hai meri zat-e-pak se zahir sharafat-e-nasabi naubat o nishan se nahin