ab andheron mein jo hum khauf-zada baithe hain kya kahen khud hi charaghon ko bujha baithe hain bas yahi soch ke taskin si ho jati hai aur kuchh log bhi duniya se khafa baithe hain dekh le jaan-e-wafa aaj teri mahfil mein ek mujrim ki tarah ahl-e-wafa baithe hain ek hum hain ki parastish pe aqida hi nahin aur kuchh log yahan ban ke khuda baithe hain 'shad' tu bazm ke aadab samajhta hi nahin aur bhi log yahan tere siwa baithe hain