zamin se ta-falak chhai hui hai raushni-e-la ye sara shahr hai meri nazar mein aankh ka dhoka samundar mein nadi ban kar utar jaun kahan tak main nigal jaega pani ek din sara badan mera ugal degi zamin sab aag ek din apne andar ki rakhe kab tak bhala ye bojh sine par pahadon ka nagar ko log khulta sa ek aaina samajhte the magar mujh ko nazar aaya koi chehra na apna sa use mein dhundhta tha raat ki gahri khamoshi mein na jaane kis tarah phir shahr mein mera hua charcha