zamin thi tang khula aasman kya rakhte hum apne sar pe koi saeban kya rakhte bahut tawil tha anjaan chahaton ka safar ki chal rahe the musalsal takan kya rakhte jahan bhi chhanw nazar aa gai padaw kiya ek umr dasht mein guzri makan kya rakhte na hota khun hamara jo rang-o-nikhat mein ye phul chehre bhala aan-ban kya rakhte bhuna rahe hain jo aslaf ke usulon ko wo apna nam-o-nasab khandan kya rakhte jhulas gae the tamazat se baal-o-par jin ke wo bad-nasib parinde udan kya rakhte