aansu thame jo rukh pe wo gesu bikhar gaya milte hi donon waqt ke dariya thahar gaya achchha hua shabab ka aalam guzar gaya ek jin chadha hua mere sar se utar gaya yar aa ke khwab mein mujhe sharminda kar gaya kya sakht jaan tha ki na furqat mein mar gaya ushshaq kam-sini se wo kam-sin habab-war joban ne jab kuchon ko ubhaara ubhar gaya ai ham-safir baal-fishani ka zikr kiya tola jo bazuon ko paron ko katar gaya lauh-e-mazar bhi jo banai wo sang-dil patthar ki sil tarash ke chhati pe dhar gaya marne pe qabr bhi jo khudi mohr ki tarah main be-nishan misl-e-nagin nam kar gaya bigda banao kar ke jo wo but raqib se fazl-e-khuda se kaam hamara sanwar gaya kya aabdari-e-dam-e-khanjar bayan karun pani ka ghunt tha ki gale se utar gaya sunte hain jaan hijr mein ‘arsh’-e-hazin ne di bhuka visal-e-yar ka kuchh kha ke mar gaya