zamin tut gai aasman tut gaya laga jo sang-e-haqiqat guman tut gaya abhi hayat ka irfan hone wala tha kisi ke paon ki aahat se dhyan tut gaya nahin sanbhaal saki hum se nishani-e-tahzib chilamchi tut gai pan-dan tut gaya main jab tha aaina mahfuz tha zamane mein ajib baat hai ban kar chatan tut gaya khushi ki baat ki khushbu bikhar gai har-su alam ki baat naya itr-dan tut gaya rawan thi naw meri jis ke dam se ai 'meraj' usi hawa se mera baadban tut gaya