aap jaison se wafa kar ke mila kuchh bhi nahin

aap jaison se wafa kar ke mila kuchh bhi nahin
khair aisi baat se mujh ko gila kuchh bhi nahin

tere jate hi mere ghar ko udasi kha gai
ab yahan diwar-o-dar ke siwa kuchh bhi nahin

hum khayalon mein tere rahte hain jaise qaid mein
kaun kahta hai mohabbat ki saza kuchh bhi nahin

main to hijrat ke khayalon se bhi dar jata tha aur
ek wo jis ko bichhadne par hua kuchh bhi nahin

aap manen ya na manen aap ki marzi magar
aisa kahna to ghalat hai ki khuda kuchh bhi nahin

mujh mein se tujh ko ghataya to pata hai kya hua
mujh mein se tujh ko ghataya to bacha kuchh bhi nahin

us ke hone se andhera chhat sa jata tha 'wihan'
warna aisi chand raaton mein rakha kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close