zamir-e-khak shah-e-do-sara mein raushan hai mera khuda mere harf-e-dua mein raushan hai wo aandhiyan thin ki main kab ka bujh gaya hota charagh-e-zat bhi hamd-o-sana mein raushan hai main apni man ke wasile se zinda-tar thahrun ki wo lahu mere sabr-o-raza mein raushan hai main badh raha hun udhar ya wo aa raha hai idhar wahi khushi wahi khushbu hawa mein raushan hai kahin bhi jaun sitara sa sath rahta hai wo shab-charagh jo us ki hawa mein raushan hai