zamin ne kar diya is tarah raegan mujh ko nazar na aaya kabhi dard aur dhuan mujh ko talash karta hai ek dusra jahan mujh ko adhura lagta hai ye jaan ka ziyan mujh ko bichhe hue hain tasalsul se jalte bujhte charagh hujum-e-lala-o-gul le gaya kahan mujh ko bhatak rahe hain nazar mein nuqush-e-gard-o-baad jaga ke chhod gae pa-e-raftagan mujh ko khud apni lauh-e-tamanna pe khil ke dekhunga kisi ke jabr ne likkha tha raegan mujh ko ye kis ke izn-o-raza se bahak rahe hain badan fareb-rang na de paya ye jahan mujh ko siwa-e-huzn-o-hazimat jagah nahin dil mein agar wo pher bhi de lashkar-o-nishan mujh ko kisi ke bas mein nahin hai kushad-e-qalb-o-nigah mila tha apni hi qismat ka saeban mujh ko hate ye ghaza-e-shab-rang to use dekhun pasand hi nahin aaina darmiyan mujh ko tamam bar-e-alam dafatan gira sar se ye raste mein mila kaun na-gahan mujh ko