zamistani hawa mein garche thi shamshir ki tezi na chhute mujh se london mein bhi aadab-e-sahar-khezi kahin sarmaya-e-mahfil thi meri garm-guftari kahin sab ko pareshan kar gai meri kam-amezi zamam-e-kar agar mazdur ke hathon mein ho phir kya tariq-e-koh-kan mein bhi wahi hile hain parwezi jalal-e-padshahi ho ki jamhuri tamasha ho juda ho din siyasat se to rah jati hai changezi sawad-e-raumat-ul-kubra mein dilli yaad aati hai wahi ibrat wahi azmat wahi shan-e-dil-awezi