wo chandni ka badan khushbuon ka saya hai bahut aziz hamein hai magar paraya hai utar bhi aao kabhi aasman ke zine se tumhein khuda ne hamare liye banaya hai kahan se aai ye khushbu ye ghar ki khushbu hai is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai use kisi ki mohabbat ka e'tibar nahin use zamane ne shayad bahut sataya hai tamam umr mera dil usi dhuen mein ghuta wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai