zamzama iztirab kuchh bhi na tha ishq-e-khana-kharab kuchh bhi na tha mera sab kuchh tha sirf ek sawal aur is ka jawab kuchh bhi na tha sans tak to gine-chune hue the kuchh na tha be-hisab kuchh bhi na tha sajda-e-shukr ne bachaya hai warna mera sawab kuchh bhi na tha ab tujhe dekh kar ye jaana hai wo jo dekha tha khwab kuchh bhi na tha