zang-khurda lab achanak aaftabi ho gae us gul-e-khush-rang ko chhu kar gulabi ho gae is ghazal par aayat-e-paighambari utri hai kya log kahte hain ki sab misre sahabi ho gae jhumne lagte hain us ko dekhte hi bagh mein aise lagta hai parinde bhi sharabi ho gae ab to mujh par bhi nahin khulta hai darwaza mera tum to aate hi mere kamre ki chabi ho gae dost aadam-khor chidiyon se abhi hai wasta kya karunga jab kabutar bhi uqabi ho gae