jidhar dekhta hun nazara tera hai asar bandagi ka hai ya moajiza hai waraq zindagi ke palatte hain jab jab main hairat se dekhun ki kya kya likha hai ye maujen ye sahil ye kashti ye dariya na jaane kahan nakhuda lapata hai wahi mod hain aur wahi rahguzar bhi ghazab ye hai ki har musafir naya hai lagate raho lakh chehre pe chehre magar yaad ho samne aaina hai na panghat na rishte na sukh-dukh ki baaten mera ganw ab shahr jo ban gaya hai bahakne lagi hai zaban ab to un ki yun daulat-o-shohrat ka chadhta nasha hai