zanjir ne ki jumbish wahshat ne li angdai shayad ki bahaar aai shayad ki bahaar aai yak-rangi-o-yaksui yakjihati-o-yakjai kahte hain junun jis ko hai asl mein danai itna to bata ai dil ye kaun si manzil hai ab khud hi tamasha hun aur khud hi tamashai diwana hun main be-shak diwana magar kis ka puchhe to koi un se ye kis ki hai ruswai mumkin jo nahin tera duniya mein hamein milna mahshar hi mein mil lenge tujh se tere shaidai ye saqi-e-mehwish hai wo jam-e-mai-e-rangin hai aur kahan jannat jannat ke tamannai be-wajh se taskin hai kyun aaj 'sahar' mujh ko kaun aaya hai ghar mere wo hain ki qaza aai