kyun na kahen bashar ko hum aatish-o-ab o khak-o-baad qudrat-e-haq se hain baham aatish-o-ab o khak-o-baad akhgar-e-ghuncha aab-ju gard-e-chaman nasim-e-subh hain ye girah-kusha-e-gham aatish-o-ab o khak-o-baad huqqe ko ahl-e-marifat kyun-ki na samjhen hamdam ab ye bhi rakhe hai besh-o-kam aatish-o-ab o khak-o-baad sozish-e-dagh-o-abla gard-e-alam shumar-e-dam hijr mein chaaron hain baham aatish-o-ab o khak-o-baad barq-o-sahab o gard-baad dasht-e-junun mein sath hain hain ye mere rafiq-e-dam aatish-o-ab o khak-o-baad ru o araq ghubar-e-khat jumbish-e-zulf ki hawa chaaron hain dil ke haq mein sam aatish-o-ab o khak-o-baad chashm mein aatishin hain ashk dil mein ghubar-e-ah-e-sard donon se lete hain janam aatish-o-ab o khak-o-baad mujh ko khudai ki qasam rakhte hain ghere dam-ba-dam tere ye ishq mein sanam aatish-o-ab o khak-o-baad kyun na hawas-e-khamsa gum ahl-e-sukhan ke hon 'nasir' tujh hi se bas hue raqam aatish-o-ab o khak-o-baad