zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko abhi dohra rahi hai khud hamari dastan hum ko kisi ko kya khabar patthar ke pairon par khade hain hum sadaon par sadaen de rahe hain karwan hum ko hum aise surma hain lad ke jab haalat se palte to badh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko sambhaala hosh jab hum ne to kuchh mukhlis azizon ne kai chehre diye aur ek patthar ki zaban hum ko utha hai shor khud apne hi andar se magar akasr dahal ke band kar lena padi hain khidkiyan hum ko hum apne jism mein bikhre hue hain ret ki surat sametengi kahan tak zindagi ki mutthiyan hum ko bichhad ke bhid mein khud se hawason ka wo aalam tha ki munh khole hue takti rahin parchhaiyan hum ko