ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi agar main zakhm hun us ka to bhar ke dekhungi kisi taraf koi zina nazar nahin aata main us ke zehn mein kyun-kar utar ke dekhungi main raushni hun to meri pahunch kahan tak hai kabhi charagh ke niche bikhar ke dekhungi suna dorahe pe ummid ke sarae hai ek main apni rah usi mein thahar ke dekhungi