zara se dauraniye ki ulfat ko jawedana bana raha hun main ek baalisht bhar mohabbat se ek fasana bana raha hun mujhe wafaon ke qaht ka ek sakht mausam guzarna hai mohabbaton ko hanut kar ke nigar-khana bana raha hun jo par kate maslahat-pasandi mein shakh-e-dil par ruke hue the main un parindon se sada-lauhi mein dostana bana raha hun ghazab ki chingariyan to dildariyon ki shabnam se sard hongi main talkh lahjon ko narm lafzon se mushfiqana bana raha hun hawa tanaben ukhed dale ki saeban ko udhed dale main khauf se be-niyaz ho kar ye aashiyana bana raha hun jahan main ab khema-zan hua tha wahan se chashma ubal pada hai so mukhtasar se padaw ko mustaqil thikana bana raha hun