jo bhala hai use bura mat kar khud se bhi barha mila mat kar ye hai basti udas logon ki qahqaha mar kar hinsa mat kar bagh hai dil fareb donon se phul ko khar se juda mat kar rose ki lan-tan thik nahin ghar mein aaine ko rakha mat kar chehra mohara badalta rahta hai itni jaldi bhi faisla mat kar