zara si der jale jal ke rakh ho jae wo raushni de bhale jal ke rakh ho jae wo aaftab jise sab salam karte hain jo waqt par na dhale jal ke rakh ho jae main dur ja ke kahin bansuri bajaunga bala se rome jale jal ke rakh ho jae wo ek lams-e-gurezan hai aatish-e-be-soz mujhe lagae gale jal ke rakh ho jae koi charagh bache subh tak to tariki usi charag-tale jal ke rakh ho jae