aankh ashk bahane pe hai mamur minal-ishq aur hont hain chup rahne pe majbur minal-ishq daman pe tere dagh-e-mohabbat nahin ek bhi lagta hai miyan tu mujhe maqhur minal-ishq chalti hai utha kar teri khushbu-e-badan ko meri to har ek sans hai mazdur minal-ishq majhul hai matun hai malun hai wo shakhs jo hijr se ghabra ke ho mafrur minal-ishq 'ammar' ka iman hai chahat ke jahan mein hota hai wahi jo bhi ho manzur minal-ishq