zara si der jo khauf-e-dawam khatm hua ye mat samajh ki ye hu ka maqam khatm hua kahan gaya jaras-e-karbala bula ke mujhe ki raste mein mera ghar tamam khatm hua na teri pyas ne dariyaon se hi baiat ki na paniyon pe likha tera nam khatm hua darakht sare samete hue hain shakh-e-khulus chalo ki pahle safar ka qayam khatm hua chunega sokhta khemon ki rakh aur koi laga ke aag hawa ka to kaam khatm hua sar-e-ufuq koi tara na be-nawa koi chikh ye kin tabahiyon pe ranj-sham khatm hua