zara si raat aur itna sawab kafi hai meri nazar ko faqat tera khwab kafi hai main chahti nahin mujh ko waraq waraq likh de sar-waraq hai jo ek intisab kafi hai main kya karungi ye itni kahaniyan le kar mere liye to faqat ek kitab kafi hai main apni pyas ko mahsus kar ke jiti hun samundaron ki talab kya sarab kafi hai main tujh se milti hun 'farhat' to khauf aata hai ki mujh pe tera purana hisab kafi hai nahin hain lafz mayassar to phir tassur bhej kisi bhi shakl mein ho ek jawab kafi hai khayal-e-yar kahan hai koi batae use mere liye wahi khana-kharab kafi hai