ye gham ka rang ye aab-e-malal aankhon mein aza ka jaise ho aks-e-hilal aankhon mein kabhi sarab kabhi tishnagi kabhi sahra kabhi kabhi faqat aab-e-zulal aankhon mein nazar milaun to kaise wo le ke chalta hai bahut ajib se kitne sawal aankhon mein ab aaina bhi jo dekhun to apne chehre par main padhti rahti hun tera khayal aankhon mein zara si der ko 'farhat' nazar nazar se mili phir us ke baad to jam-e-sifal aankhon mein