zara soch kar ai jafa karne wale kahin ji na chhoden wafa karne wale gila kuchh nahin mujh ko waiz se lekin ye kaun aap ka tazkira karne wale ghamand un ko allah re itna jafa ka to kya mar gae ab wafa karne wale bade be-murawwat bade bewafa ho hamesha bahana naya karne wale gali mein teri sar-ba-kaf ho ke aaen kahan hain mera samna karne wale wo bebak chitwan yahi kah rahi hai kisi se nahin hum wafa karne wale shahidan-e-ulfat na khush hon tadap kar wo is par nahin e'tina karne wale ye kahta hai parwane ka jal ke marna wafa karte hain yun wafa karne wale samajhte hain aasan abhi un ka milna bahut dur hain hausla karne wale naqab un ki jis waqt sarkegi rukh se qayamat karenge haya karne wale dam-e-naza aakhir nikal aae aansu kahan ja ke chauke wafa karne wale zaban par meri raaz-e-dil ab to aaya meri sharm rakh le haya karne wale dawa se to bimar kuchh aur uljha maraz hi na samjhe dawa karne wale khamoshi meri lash ki kah rahi hai jafa sahte hain yun wafa karne wale gada kaun betab sa is gali mein hain yun to bahut se sada karne wale