shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha ek sauda raha jab tak ki mujhe hosh raha juz teri yaad ke sab dil se faramosh raha marte marte diwane ko ye hosh raha rukh-e-pur-nur se bas un ka ulatna tha naqab kaun kambakht tha aisa ki jise hosh raha ye bhi ehsan hai jo us ne na diya koi jawab shauq-e-ummid ka hami lab-e-khamosh raha be-dhadak samne mahshar ki wo aana tera dekh lena jo kisi ek ko bhi hosh raha kis se fariyaad-e-sitam karte mila jab ki na tu tu mila jab to sitam tera faramosh raha raaz-e-sar-basta-e-mai-khana na khulne paya aashna-e-lab-e-saghar lab-e-mai-nosh raha dard rah rah ke mere dil mein utha karta hai tera ehsan ki tujhe main na faramosh raha bar-e-ehsan hai mere sar pe tera o qatil sar juda hone pe bhi main na subuk-dosh raha dard uthte hi tadapne lagana mahram-e-raaz jo ada se teri waqif tha wo khamosh raha kya kahun maut ne kis raaz ki di aa ke khabar baat hi kuchh thi wo aisi ki main khamosh raha jaan 'betab' ki aakhir shab-e-tanhai ne li tu kahan sham se o wada-faramosh raha