zara socha to kya kya zehn se manzar nikal aae mere ehsas ke kuchh khandaron se ghar nikal aae lagen dene sabaq wo phir parindon ko udanon ka zara se shahr mein jab chintiyon ke par nikal aae ye aalam hai ki jab bhi ghar mein kuchh dhundne baitha purane kaghazon se yaad ke manzar nikal aae laga jab yun ki uktane laga hai dil ujalon se use mahfil se us ki alwidaa kah kar nikal aae dikhai de kabhi ye moajiza bhi mujh ko ulfat mein kisi shab chand ban kar wo meri chhat par nikal aae mile hain zakhm jab se 'shokh' wo gulshan se barta hai bharosa kuchh nahin kis phul se patthar nikal aae