pade pade nai zar-kheziyan nikal aain kate darakht mein phir tahniyan nikal aain us aaine mein tha sarsabz bagh ka manzar chhua jo main ne to do titliyan nikal aain main tod dala gaya to imarat-e-jaan mein kahan kahan se meri chabiyan nikal aain main aasman pe pahuncha to ladkhadane laga bulandiyon mein ajab pastiyan nikal aain thahar gae to mayassar hui na ja-e-aman jo chal pade to kai bastiyan nikal aain wahi nasib ki main shahryar jis se bana usi nasib mein tang-dastiyan nikal aain mere ilaj ko allah istaqamat de mere mariz ki phir pasliyan nikal aain main aasman se utra zamin ki jaanib zamin se meri taraf sidhiyan nikal aain wahi surakh jahan chhipkili ka dera tha usi surakh se phir chyuntiyan nikal aain abhi abhi to sambhaala gaya tha gard-o-ghubar hisar-e-dasht mein phir aandhiyan nikal aain sambhaal rakha tha ammi ne jis ko maut talak usi kabad se kuchh takhtiyan nikal aain main aakhiri tha jise sarfaraaz hona tha mere hunar mein bhi kotahiyan nikal aain