zara thokar lage to khud-kushi key baat karta hai bashar is daur ka kuchh uljhanon se kitna darta hai kaho us se yahan phulon se kuchh hasil nahin hota ki manzil us ko milti hai jo kanton se guzarta hai kisi din qarz us ne bhi liya hoga zamana se tabhi ban kar rini ye waqt sab ke zakhm bharta hai kabhi bhi god leti hi nahin phir ye koi sapna kisi bhi aankh mein is ka koi jab khwab marta hai kudhan hoti hai kuchh yun noch lun main jism tak apna kisi ek shakhs ka chhuna kabhi itna akharta hai ye lali aur bindi 'rit' kyon bhate nahin tum ko isi shringar se to jism aurat ka sanwarta hai