zara zara hi sahi aashna to main bhi hun tumhaare zakhm ko pahchanta to main bhi hun na jaane kaun si aankhon se dekhte ho mujhe tumhaari tarah se tuta hua to main bhi hun tumhi pe khatm nahin mehr-o-mah ki gardish shikast-e-khwab ka ek silsila to main bhi hun tumhein manane ka mujh ko khayal kya aae ki apne aap se rutha hua to main bhi hun mujhe bata koi tadbir rut badalne ki ki main udas hun ye jaanta to main bhi hun talash apni khud apne wajud ko kho kar ye kar-e-ishq hai is mein laga to main bhi hun rumuz-e-harf na hath aae warna ai 'ashfaq' zamane bhar se alag sochta to main bhi hun