mutakabbir na ho zardar badi mushkil hai sab hai aasan ye sarkar badi mushkil hai kufr par khalq hai tayyar badi mushkil hai din bilkul nahin darkar badi mushkil hai kaise tedha na chale mar badi mushkil hai sidhi ho zulf-e-girah-dar badi mushkil hai aur honge wo koi dam mein aane wale murgh-e-dana ho giraftar badi mushkil hai dil hai ghamnak to kaunain hai matam-khana rote hain sab dar-o-diwar badi mushkil hai log kahte hain ki dil us ko na dena lekin baad iqrar kai inkar badi mushkil hai shoala-e-husn-e-butan phunk na de aalam ko surkh hain phul se rukhsar badi mushkil hai in dinon hazrat-e-yusuf ki wo na-qadri hai nahin budhiya bhi kharidar buri mushkil hai mil ke rahna hi nahin jaanta yan ab koi jaan-o-dil mein bhi hai takrar badi mushkil hai na taraddud ka maza hai na sukun ki lazzat kabhi wada kabhi inkar badi mushkil hai talib-e-sulh hun main aur nazar talib-e-jang raat din ladne pe tayyar badi mushkil hai hae duniya mein kisi mein nahin itni bhi wafa jitna kutta hai wafadar badi mushkil hai aaj tum tegh-ba-kaf ho to safa-chat maidan kaun marne pe ho tayyar badi mushkil hai jins-e-dil bechne ki hum ko zarurat 'parwin' aur madum kharidar badi mushkil hai