zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin

zard chehron se nikalti raushni achchhi nahin
shahr ki galiyon mein ab aawargi achchhi nahin

zinda rahna hai to har bahrupiye ke sath chal
makr ki tira-faza mein sadgi achchhi nahin

kis ne izn-e-qatl de kar sadgi se kah diya
aadmi ki aadmi se dushmani achchhi nahin

jab mere bachche mere waris hain un ke jism mein
sochta hun hiddat-e-khun ki kami achchhi nahin

gosh-bar-awaz hain kamre ki diwaren 'saba'
takhliye mein khud se achchhi baat bhi achchhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close