zard patton ko darakhton se juda hona hi tha hum ki dariya hain samundar ki ghiza hona hi tha aur kab tak be-samar rakhti khizan pedon ke hath rut badal jaana thi ye jangal hara hona hi tha rokne se kab hawa ke narm jhonke ruk sake band darwazon ko ek din nim-wa hona hi tha dhul kab tak jhonke ek dusre ki aankh mein ek din to jhut sach ka faisla hona hi tha tez dhaaron se bichhad kar un kinaron par 'najib' mauj-e-dariya ki tarah be-dast-o-pa hona hi tha