zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye ye zamin jab ho gai be-asman mere liye wo badan sahra badha deta hai pahle meri pyas aur ban jata hai phir aab-e-rawan mere liye mausam-e-dil ne bikhere dil ke bahar apne rang rang-e-gul us ke liye rang-e-khizan mere liye shahr mein lagti hai phir ek roz bujh jati hai aag chhod jati hai magar sara dhuan mere liye us se milne ka saman us se judai ki ghadi aur phir kuchh bhi nahin sud-o-ziyan mere liye aasman-e-dil pe raushan lafz-o-mani ki tarah hai zamin-e-sher ki ye kahkashan mere liye